no fucking license
Bookmark

Interesting Facts About Don Film, फ़िल्म डॉन से जुड़ी रोचक जानकारियां

Bollywood ki superhit film 'Don' 1978 me release hui thi. Is action thriller ke main role me Amitabh Bachchan aur Pran the, film ke director the Chandra Barot aur producer the Nariman Irani. Don film ki story likhi thi Saleem-Jawed ne jo us wakt ke sabse kamyab writers ki jodi thi.
Aiye jante hain Don Film ke baare me kuch dilchasp baate.
interesting-facts-about-film-don

Interesting Facts About Film Don, डॉन फ़िल्म से जुड़ी कुछ रोचक जानकारियां

1) Saleem-Jawed ne jab Don film ki script likhi thi tab koi bhi producer is film ko banane ke liye taiyar nahi tha, unko lagta tha k story me kuch khas nahi hai. Yaha tak ki is film ko Prakash Mehra, Jitendra aur Dev Anand ne bhi reject kar diya tha. Aur ye script bahut dino tak dibba band rahi thi.

2) Don film ka superhit song ''khaike paan banaras wala" ke peechhe bhi ek dilchasp kahani hai. Ye song asal me Dev Anand ki film 'Banarsi Babu' keliye likha gaya tha, lekin unhone song ko apni film me lene se mana kar diya tha. Baad me is song ko Don film me dala gaya jo superhit sabit hua.
[post_ads]
interesting-facts-about-film-don
3) Is song 'khaike paan banaras wala ko Kishor Kumar ne gaya tha. Aur aap yakeen nahi karenge ki is song ko gaane se pahle kishor da ne bahut sara paan khaya tha taki original feelings aaye.

4) Kya aap vishwas kar sakte hain ki is film keliye Pran ko Amitabh Bachchan se zyada paise mile the.

5) Film me Pran ne langde ka role kiya tha, iske peechhe bhi ek kahani hai. Asal me film ke script me wo role langda nahi tha. Lekin shouting se kuch din pahle Pran ka accident ho gaya tha jiske wajah se unko seedha chalne me dikkat ho rahi thi. Isi wajah se film ki script me badlao kiya gaya. aur langda kar chalne wale role ko film me joda gaya tha.
interesting-facts-about-film-don
6) Don film ke climax me fight ke ek scene ko qabristan me dikhaya gaya tha, jabki asal me wo qabristan nahi balki ek garden tha. Shayad aap ne dhyan nahi diya ho ki us scene me qabron par jo naam likhe the wo film me kaam karne wale director, producer, camera man aur script writers jaise team members ke naam the.

Must Read:
👉 खूबसूरत होंठों वाली बॉलीवुड की 6 अभिनेत्रियां
👉 मज़ेदार चुटकुले
👉 लड़कियों से जुड़ी रोचक जानकारियां
👉 मुझसे नहीं कटती अब ये उदास रातें, शायरी
👉 Beautiful HD Videos

Dosto, Don film se judi interesting jankariya kaisi lagi hme comment box me zaroir bataye..
Sharing Is Caring
Post a Comment

Post a Comment