no fucking license
Bookmark

Floating Social Share Buttons For Blog

Blog me Floating Social Share Button lagane ki khwahish to har blogger ki hoti hai, Qki iske bahut saare fayede hain, lekin saare bloggers ise nhi laga pate, wajah hoti hai darr.. Unhe lgta hai isse page ka size badhega aur speed kam ho jayegi..
floating-social-share-buttons-for-blog

Blog keliye Floating Social Share Buttons

Aaj mai apko Addthis ka banya hua social sharing button k baare me bataunga, ye bilkul chhoti si coding hai isay blog me add karna bhi bilkul aasan hai aur ye kaafi stylish bhi hai, sabse badi baat isay aap page pe neeche ya side me jahan chahen float kara sakte hain.. Ye apke blog ko stylish look to deta hi hai sath me ye Total Shares bhi show karta hai, isse apka repo badhta hai..
Naye bloggers jinko coding ki zyada jankari nhi hoti unke liye to ye kafi madadgar chiz hai apne post ko social sites jaise facebook, google+, Whatsapp, Twitter etc pe share karane ka.. isse page views k sath revenue bhi badhta hai..

Blog me Floating Social Share Button kyon lagayen

1) Traffic
Aam taur par hum jo kuch bhi apne blog pe likhte hain uske liye kafi mehnat karte hain aur apni taraf se best karne ki koshish krte hain, lekin us waqt hme apni sari mehnat pe pani phirta nazar aata hai jab us post ko share nhi milte, kayi readers to chah kr bhi isliye share nhi kr paate Qki unko phir se share this option tk jane ka time nhi hota, agar share button screen pe hi float kr raha ho to kisi bhi readers ko post share krne me aasani hoti hai...
2) Online Presence:
Dar asal ye bahut important chiz hai, apki quality kya hai iska pata isi se chalta hai, Social media hme ek big platform deta hai, hmare post jitne zyada share kiye jayenge hmari pahchan bhi utni zyada banegi aur ek wakt aayega jab log hume khud search krne lagenge..
floating-social-share-buttons-for-blog

3) Seo:
Seo kisi bhi blog ke liye sabse bada factor hota hai, aur iske liye hme social media se judna hi hota hai.. Agar hme achhi ranking chahiye to social media platforms ko ignore nhi kar sakte.. Is ka importance day by day badhta hi ja raha hai, aur hme agar jaldi kamyab hona hai to shuru se hi social sites pe apni pahunch badhani hogi..

Blog me social share button kaise add kare:


Step 1: sabse pahle is code ko copy karen..
<script type="text/javascript" src="//s7.addthis.com/js/300/addthis_widget.js#pubid=ra-53b51c680d7b1642"></script>
Step 2: Apne blog pe login karen, phir Dashboard uske baad Layout pe click karen.
floating-social-share-buttons-for-blog
Step 3: Footer me code paste krna sahi rahta hai, so Footer me jayen.

Step 4: Ab Add a Gadget pe click karen, uske baad HTML/JavaScript pe click karen.

Step 5: Ab blank box open hoga usme code paste kar ke save karen.

Congratulations... Apke blog me Floating Social Share Button add ho chuka hai, page open karke check kar sakte hain..

Ye bhi Padhen:
👉 Blog ki Basic Settings Kaise Karen
👉 Website blog banane ki puri jankari
👉 Facebook se paise kaise kamaye
👉 Thodi masti thoda manoranjan
👉 Duniya bhar ki dilchasp jankariyan, Amazing Facts
👉 Health Tips: How to increase breast size

Last Words:
Is post me floating social share buttons add karne ki puri jankari di gayi hai... Agar isay add karne me koi pareshani aarahi ho to ya koi aur sawal ho to puchh sakte hain.. Roz naye updates ke liye is website ko Subscribe zarur karen...
Sharing Is Caring
Post a Comment

Post a Comment